agarche tere karam ka koi shumar nahin
By mustafa-adeebJanuary 4, 2024
agarche tere karam ka koi shumar nahin
magar ye jabr mujhe khud pe ikhtiyar nahin
hudud-e-waqt se bahar nikal ke dekh liya
kahan kahan teri qudrat tera hisar nahin
main ek zarra sahi meri haisiyat ma'lum
main aadmi to hun udta hue ghubar nahin
sabhi ke bazm-e-tarab mein shumar nam magar
pa mera nam kisi nam mein shumar nahin
ye lag raha hai mujhe rang-o-bu ke zine par
main jis bahaar mein hun ye koi bahaar nahin
kisi ne phir se gira di hai ye dar-o-diwar
utho 'adib' yahan aur intizar nahin

29012 viewsghazal • English