agarche zor hawaon ne dal rakkha hai magar charagh ne lau ko sambhaal rakkha hai mohabbaton mein to milna hai ya ujad jaana mizaj-e-ishq mein kab e'tidal rakkha hai hawa mein nashsha hi nashsha faza mein rang hi rang ye kis ne pairahan apna uchhaal rakkha hai bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahen so main ne rishta-e-gham ko bahaal rakkha hai hum aise sada-dilon ko wo dost ho ki khuda sabhi ne wada-e-farda pe tal rakkha hai hisab-e-lutf-e-harifan kiya hai jab to khula ki doston ne ziyaada khayal rakkha hai bhari bahaar mein ek shakh par khila hai gulab ki jaise tu ne hatheli pe gal rakkha hai 'faraaz' ishq ki duniya to khub-surat thi ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai