ahd-e-shabab mausam-e-KHandan hai aur hum
By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
'ahd-e-shabab mausam-e-khandan hai aur hum
har-su nigar jalwa-faroshan hai aur hum
mahfuz dil mein shorish-e-paikan hai aur hum
khalwat-nawaz khatir-e-mehman hai aur hum
sabr-azma tasawwur-e-jaanan hai aur hum
aankhon mein aaj hashr ka saman hai aur hum
ek manzar-e-guzarish-e-pinhan hai aur hum
un ke huzur dida-e-hairan hai aur hum
daur-e-sharab sohbat-e-rindan hai aur hum
saghar-ba-dast chashm-e-hasinan hai aur hum
ehsas ne gunah ki duniya samet li
ab rahmat-e-tamam ka daman hai aur hum
saghar mein aaj 'ariz-e-saqi ka 'aks hai
kafir banae jaane ka saman hai aur hum
hikmat se ho rahi hain tamanna-nawaziyan
tashkil-e-khwab hasil-e-arman hai aur hum
takmil ho rahi hai mohabbat ki is tarah
mehmani-e-tasawwur-e-jaanan hai aur hum
mushkil hai 'shad' rahna girani ke daur mein
ab pairwi-e-gosha-nashinan hai aur hum

20972 viewsghazal • English