ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar ai andheri raat tujh ko bhi badalna chahiye bawajud-e-gham musalsal qahqahe ai na-murad karwan-e-zindagi ke sath chalna chahiye shan-e-rindana ki hai tauhin az-khud-raftagi sahl hai pina magar pi kar sambhalna chahiye zindagi wo kya jo hai na-waqif-e-ashob-e-ishq sina-e-adam mein tufanon ko palna chahiye iqtiza-e-asr-e-nau hai zindagi to darkinar maut ko bhi husn ke sanche mein dhalna chahiye ai junun kuchh der shaghl-e-khak-bazi hi sahi dil to is sahra-e-hasti mein bahalna chahiye