ahl-e-danish ki nigahon mein hadaf koi nahin

By shehzad-anjum-burhaniOctober 4, 2023
ahl-e-danish ki nigahon mein hadaf koi nahin
sar to ab bhi hai magar sang-ba-kaf koi nahin
halqa-e-kam-nazaran ‘aqibat-andesh na tha
main usi rah gaya jis ki taraf koi nahin


da'wa-e-nam-o-nasab sab ki zaban se jari
waqi'a ye hai ki paband-e-salaf koi nahin
khud-nigah-dari ki padash mein ruswa hue hum
hasil is kaam mein to izz-o-sharaf koi nahin


pi bhi leta hun jo mail-ba-karam ho wo nigah
warna is khak ke putle ko shaghaf koi nahin
'anjum' ab ahl-e-zamana se tawaqqo' kaisi
abr-e-naisan ke muqaddar mein sadaf koi nahin


64431 viewsghazalEnglish