ahl-e-dil fasanon mein zikr-e-yar karte hain muskura ke mahfil ko ashk-bar karte hain bad-nasib dharti ki dastan hi aisi hai is ke chahne wale is pe war karte hain dhajjiyon ke sauda-gar aaen aa ke le jaen hum khushi se daman ko tar-tar karte hain hadson ke kandhon par jism-o-jaan ko le aao aspatal ke kamre intizar karte hain bhuli-bisri yaadon ke barf-dan mein rakh do khwab jo tumhein aksar be-qarar karte hain jod-tod lafzon ka shairi nahin hota log jaane kyon aisa bar bar karte hain