ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath zindagi hum ne basar kar li hai nadani ke sath ek tamannaon ka bahr-e-be-karan tha aur hum kashti-e-jaan ko bacha lae hain aasani ke sath ab kise dil ke dhadakne ki sadaen yaad hain ye bhi hangama gaya is ghar ki virani ke sath ai hawa tu ne to sare marke sar kar liye subh-e-farda pas baithi hai pashimani ke sath dasht-e-wahshat se bhala karta hai aankhen chaar kaun shahr badhte ja rahe hain apni uryani ke sath tu nahin aata na aa ai dost ab teri tarah hum bhi chal nikle hain apne dushman-e-jaani ke sath