ahl-e-duniya waqif-e-asrar-e-pinhan ho gae

ahl-e-duniya waqif-e-asrar-e-pinhan ho gae
dastan-e-gham suna kar hum pasheman ho gae

mere aansu un ki aankhon mein numayan ho gae
ab pareshan karne wale khud pareshan ho gae

pursish-e-gham karne wale badh gaya kuchh aur gham
chand qatre aansuon ke badh ke tufan ho gae

jo khulus-e-bandagi ke muntazir the aaj tak
mere sajdon se wo naqsh-e-pa numayan ho gae

baghban se kya shikayat us ka daman pak hai
ab to khud gulchin bhi gulshan ke nigahban ho gae

ek hamari hi nazar nakaam-e-sahil kya rahi
jaane kitne hi safine nazr-e-tufan ho gae

ishq ka anjam ai dil kitna ibrat-nak hai
meri haalat dekhne wale pareshan ho gae

juzw-e-fitrat kab bana dard-e-mohabbat kya khabar
is qadar hum 'shauq' mahw-e-husn-e-jaanan ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close