ahl-e-jahan harif hamare hue to kya

By khalid-nadeem-badayuniApril 23, 2021
ahl-e-jahan harif hamare hue to kya
hum bhi hain aaj waqt ke mare hue to kya
mehrab-o-dar ko phir bhi ujale nahin nasib
aangan mein mere chand sitare hue to kya


dil jab hamara khana-e-viran ho gaya
us waqt pure khwab hamare hue to kya
ab did ki talab hai na milne ki aarzu
un ki taraf se lakh ishaare hue to kya


phulon mein dilkashi hai na kaliyon pe hai nikhaar
rangin gulsitan ke nazare hue to kya
tabindagi nigah ki jab mar ke rah gai
ab aaen wo naqab utare hue to kya


haara nahin hun ab bhi mohabbat ki jang main
rah-e-wafa mein mujh ko khasare hue to kya
sahil pe le ke jaega 'khalid' tumhaara azm
dariya ke dur tum se kinare hue to kya


70695 viewsghazalEnglish