ai dast-e-iKHtiyar dar-e-inkishaf khol

By muneer-jafriApril 5, 2022
ai dast-e-ikhtiyar dar-e-inkishaf khol
dekhen to kya chhupa hai badan ka ghilaf khol
wo chhed jis ko bharte hue dasht lag gae
dariya se kah raha hun wahi phir shigaf khol


tujh ko khabar nahin hai baghawat ke zahr ki
ek bar ye mahaz tu apne khilaf khol
shaha zaban-e-khalq hai naqqara-e-khuda
tujh ko kabhi karegi nahin ye muaf khol


mujh ko na bandh waqt ki mamnua shakh se
main hi tere wajud ka hun e'tiraf khol
wo raaz jis bina pe bani hai ye kaenat
duniya se kar na jaen sabhi inhiraf khol


lahjon mein ganth padne se pahle mere ghanim
hum jis pe lad rahe the wahi ikhtilaf khol
nairangi-e-badan se bandhi hai nazargi
mujh kor-chashm par bhi koi koh-e-qaf khol


takhrib kah rahi hai saqafat ki dastan
tafsil chahiye to chaman ka lihaf khol
phulon pe band hain teri aamad ke dar 'munir'
khushbu ke iltimas pe apna tawaf khol


41677 viewsghazalEnglish