ai dost kahin tujh pe bhi ilzam na aae is meri tabahi mein tera nam na aae ye dard hai hamdam usi zalim ki nishani de mujh ko dawa aisi ki aaram na aae kandhe pe uthae hain sitam rah-e-wafa ke shikwa mujhe tum se hai ki do-gam na aae lagta hai ki phailegi shab-e-gham ki siyahi aansu meri palkon pe sar-e-sham na aae main baith ke pita rahun bas teri nazar se hathon mein kabhi mere koi jam na aae baitha hun diya ghar ka jo 'nasir' main jala ke aisa na ho phir wo dil-e-nakaam na aae