ai ghairat-e-gham aankh meri nam to nahin hai

ai ghairat-e-gham aankh meri nam to nahin hai
koi dil-e-khun-gashta ka mahram to nahin hai

riste hue zakhmon ka ho kuchh aur mudawa
ye harf-e-tasalli koi marham to nahin hai

khamosh hain kyun nala-kshan-e-shab-e-hijran
ye tira-shabi aaj bhi kuchh kam to nahin hai

jalta to hai dil aaj bhi ai tirgi-e-gham
ek shama ki lau aaj bhi maddham to nahin hai

us bazm mein sab kuchh hai magar ai dil-e-pur-shauq
teri si talab tera sa aalam to nahin hai

kuchh wo bhi hain chup-chap se kuchh main bhi hun khamosh
dar-parda koi ranjish-e-baham to nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close