ai husn-e-azal teri kya shan nirali hai dekha to jalali hai samjha to jalali hai hai zarf ye jo aali mansab bhi wo aali hai bhar dega mera saqi paimana jo khali hai duniya-e-mohabbat mein kya koi dua li hai tum ne kisi aashiq ki hasrat bhi nikali hai rahta hai ye jis dhun mein duniya se nirali hai diwana mohabbat ka ek mard-e-khayali hai surat si badal di hai kuchh naqsh-e-mohabbat ne taswir teri hum ne ab dil mein jama li hai hun zabt-e-mohabbat ka khugar to magar aksar machli hai tabiat to mushkil se sanbhaali hai rasm-o-rah-e-hasti ka paband nahin aashiq kahte hain junun jis ko aazad-khayali hai tahzib se farigh hai ab mard-e-kharabaati tamir karega phir buniyaad to dali hai ek wahshat-e-hasti hai dhanda mujhe duniya ka kuchh dhul udani hai kuchh dhul uda li hai pai hai nazar hum ne saqi ki inayat ki uqba bhi bana lenge duniya to bana li hai hai gird tamasha sa ek ghol-e-bayaban ka sahra mein bhi hum ne to basti si basa li hai andaz-e-bayan tu ne sikha ye naya 'shakir' ab tarz-e-nigarish mein aazad-khayali hai