ai husn-e-lala-fam! zara aankh to mila khali pade hain jam! zara aankh to mila kahte hain aankh aankh se milna hai bandagi duniya ke chhod kaam! zara aankh to mila kya wo na aaj aaenge taron ke sath sath tanhaiyon ki sham! zara aankh to mila ye jam ye subu ye tasawwur ki chandni saqi kahan mudam! zara aankh to mila saqi mujhe bhi chahiye ek jam-e-arzu kitne lagenge dam! zara aankh to mila pamal ho na jae sitaron ki aabru ai mere khush-khiram! zara aankh to mila hain rah-e-kahkashan mein azal se khade hue 'saghar' tere ghulam! zara aankh to mila