ai junun kuchh to khule aakhir main kis manzil mein hun hun jawar-e-yar main ya kucha-e-qatil mein hun pa-ba-jaulan apne shanon par liye apni salib main safir-e-haq hun lekin nargha-e-baatil mein hun jashn-e-farda ke tasawwur se lahu gardish mein hai haal mein hun aur zinda apne mustaqbil mein hun dam-ba-khud hun ab sar-e-maqtal ye manzar dekh kar main ki khud maqtul hun lekin saf-e-qatil mein hun ek zamana ho gaya bichhde hue jis se 'surur' aaj usi ke samne hun aur bhari mahfil mein hun