ai KHuda shahr-e-mohabbat mein kabhi aisa na ho

By manzoor-ul-haq-nazirOctober 25, 2023
ai khuda shahr-e-mohabbat mein kabhi aisa na ho
bhuk se betab koi bhi yahan bachcha na ho
kya khabar us shakhs ko majburiyan hoti hain kya
ghurbat-o-iflas ko jis ne kabhi dekha na ho


chahta hun main ki la-mahdud ho mera khayal
daere ki shakl mein ye ek jagah simta na ho
jo meri taqdir mein likkha tha mujh ko mil gaya
ab meri aankhon mein yarab dusra chehra na ho


be-sar-o-samaniyon mein zindagi jita hun main
ai khuda dushman ko bhi ye dukh mile aisa na ho
tum mujhe apna kaho main bhi tumhein apna kahun
jaan-e-man ye pyar duniya mein kabhi ruswa na ho


chahta hun main yahi 'nazir' ki sab se ho nibah
mere honton par kabhi ahbab ka shikwa na ho
80989 viewsghazalEnglish