ai mah-e-hijr kya kahen kaisi thakan safar mein thi rup jo rahguzar mein the dhup jo rahguzar mein thi lafz ki shakl par na ja lafz ke rang bhi samajh ek khabar pas-e-khabar aaj ki har khabar mein thi raat fasil-e-shahr mein ek shigaf kya mila khun ki ek lakir si subh nazar nazar mein thi meri nigah mein bhi khwab teri nigah mein khwab ek hi dhun basi hui asr-e-rawan ke sar mein thi shahr pe ratjagon se bhi bab-e-ufuq na khul saka wusat-e-baam-o-dar 'najib' wusat-e-baam-o-dar mein thi