ai mere dil ki raushni to yunhi jagmagae ja mere jahan-e-shauq par kaif ban ke chhae ja main usi tarah se rahun mahw-e-nazzara-e-jamal aankhon mein aankhen dal kar tu yunhi muskurae ja teri nazar ka hai khumar kahte hain jis ko dukht-e-raz dil ki hawas ka wasta mast nazar pilae ja mere tasawwuraat mein mere takhaiyyulat mein ai meri jaan-e-arzu jalwa-ba-jalwa aae ja tujh se nigah milte hi dil se to hath dho chuke ab hai faqat ye aarzu jaan se bhi mitae ja