ai mere ghubar-e-sar tu hi to nahin tanha raegan to main bhi hun mere har khasare par mere ye mukhalif kya shadman to main bhi hun dasht ye agar apni wusaton pe nazan hai mujh ko is se kya lena zarra hi sahi lekin meri apni wusat hai be-karan to main bhi hun dar-ba-dar bhatakti hai dasht o shahr o sahra mein apna sar patakti hai ai hawa-e-awara teri hi tarah be-ghar be-aman to main bhi hun kuch kar gae jaane kitne qafile jin ka kuchh nishan nahin milta main bhi hun kamar-basta yani rah-raw-e-rah-e-raftagan to main bhi hun tu jo ek shoala hai chob-e-khushk hun main bhi apna haal yaksan hai der hai bhadakne ki phir to rakh hai tu bhi phir dhuan to main bhi hun