ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya hoga na waqf-e-dil kabhi kaif-e-tabassumat kya mast-e-nazar agar nahin saghar-e-dil mein baada-rez bazm-e-nawazishat kya daur-e-tawajjohat kya kab se hain rind muntazir chashm-e-karam pe hai nazar shokh nigah ke liye wajh-e-takallufat kya dhundti phirti hai nazar shahid-e-bazm-e-naz ko us ko magar khabar nahin kaif-e-tasawwuraat kya husn-e-talab ye hai ki tu us se usi ko mang le us ke siwa hayat kya maqsad-e-kaenat kya apne hi dil ki bazm mein us ka jamal dekhiye dida-e-shauq ke liye aur harim-e-zat kya shauq-o-talab se 'taj' ab aalam-e-iztirab hai ek zara se dil mein ye shorish-e-kaenat kya