ai naqsh-garo lauh-e-tahrir hamein de do
By ezaz-afzalOctober 29, 2020
ai naqsh-garo lauh-e-tahrir hamein de do
hum apne musawwir hain taswir hamein de do
aaghosh-e-kaman ab tak afkar ka khali hai
tum apni nigahon ke kuchh tir hamein de do
kya tol rahe ho tum hathon mein khirad-mando
zewar ye junun ka hai zanjir hamein de do
ai khali katoron ke be-kaif nigahbanon
mai-khana hamari hai jagir hamein de do
tum to na jhuka pae gardan dil-e-sarkash ki
ai ahl-e-sitam lao shamshir hamein de do
aashufta lakiren hain tahrir ki nau-mashqi
likh lenge hamin lauh-e-taqdir hamein de do

16743 viewsghazal • English