ai sakhiyan main ne dekhya sang kar ke yar ka pan na dekhya be-samajh hor sang-dil tujh sar ka jiw lene jaanta hor dilbari ke tu kala ghar mein hai lag aapna hor bhaarge parpar ka jiw jal kahta hun main pan sun tun sangin hun niku bol apas ki birah ki par bas mein bilkhanhaar ka ghaw kari uchh na jaana jiw hor jam talkhali yun to khasiyat disya tujh ishq ki tarwar ka til tere rakhte hain jaga tin lak payaade ki aaj chak tere karte hain dawa chaar lak aswar ka ishq mein kuchh adl achhuta to na achhuta be-dhadak dukh dilawar lashkari sar kat sukh sardar ka 'bahriya' sar panw kyun karta haqiqat ka so bol girna khadta sar pe tere u majazi mar ka