ai shoala-ruKH itna hai tera rang-e-badan surKH

By munshi-debi-parshad-sahar-badayuniSeptember 26, 2023
ai shoala-rukh itna hai tera rang-e-badan surkh
pahne hai safed aur nazar aati hai chikan surkh
kya tere shahidon mein hua khun laga kar
kis waste hai lala-e-hamra hama-tan surkh


nilam hai dhara huqqa-e-yaqut mein goya
hain dant siyah missi se pan se hai dahan surkh
qatron mein araq ke hai ayan rang badan ka
dekha na gaya aaj talak durr-e-adan surkh


kyunkar dil-e-khuni ko nigal jaen na gesu
hota hai kaha karte hain sab sanp ka man surkh
nazuk to hai jism us ka magar rang hai lalin
wo dekh le jis ne ki na dekha ho saman surkh


zahid tujhe gar surkh-ru hone ki hawas hai
kar deti hai chehre ko mai-e-nab-e-kuhan surkh
kushta main hua hun teri gul-pairahani par
lazim hai meri lash ko den log kafan surkh


mar kar bhi rahe khun ke ashk aankhon se jari
ai 'sehr' mila hijr ki daulat se kafan surkh
29627 viewsghazalEnglish