ai waqt teri aankh ka kajal rahe hain hum

ai waqt teri aankh ka kajal rahe hain hum
har ek masale ka tere hal rahe hain hum

manzil ki justuju ka ye aalam to dekhiye
sahra hai tez dhup hai aur chal rahe hain hum

hathon mein aaj waqt ne kashkol de diya
nazan hain hum ye soch ke kya kal rahe hain hum

ashkon ne aur aatish-e-furqat ko di hawa
barsat ho rahi hai magar jal rahe hain hum

anjaan ban ke aaj jo guzra qarib se
barson usi ke ishq mein pagal rahe hain hum

har daur ko lahu ka diya hum ne hi khiraj
is daur mein bhi zinat-e-maqtal rahe hain hum

haq-go hain haq-shanas hain aur haq-parast bhi
'sajid' isi wajah se bahut khal rahe hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close