ai zindagi bas aur nahin bas sakat nahin
By ali-tasifJune 3, 2024
ai zindagi bas aur nahin bas sakat nahin
is dil ko sang-e-rah ki surat barat nahin
ruk jae nabz fikr ke rukte hi kaenat
ab tak to meri khak mein aisi sifat nahin
bharti ka ek main hi bacha tha nikal gaya
ab tera she'r saf hai koi bharat nahin
kyon naqd bechne pe ba-zid ho tum apni baat
haalanki ab udhaar mein is ki khapat nahin
ab sochne laga hun badha dun dukan-e-shauq
filwaqt aise kaam mein koi bachat nahin
nad-e-‘ali ke wird ko tar-e-nafas se jod
ab zindagi guzar meri jaan bhugat nahin

68406 viewsghazal • English