aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai is gham ki kabhi hum ne ishaat nahin ki hai jab wasl hua us se to sarshaar hue hain aur hijr ke mausam ne riayat nahin ki hai jo tu ne diya us mein izafa hi hua hai is dard ki daulat mein khayanat nahin ki hai hum ne bhi abhi khol ke rakkha nahin dil ko tu ne bhi kabhi khul ke wazahat nahin ki hai is shahr-e-badan ke bhi ajab hote hain manzar lagta hai abhi tum ne siyahat nahin ki hai is arz-e-tamanna mein kise chain mila hai dil ne magar is khauf se hijrat nahin ki hai ye dil ke ujadne ki alamat na ho koi milne pe ghadi-bhar ko bhi hairat nahin ki hai