aisa gham hai ki jo kar dega mere baal safed
By hina-ambareenFebruary 6, 2024
aisa gham hai ki jo kar dega mere baal safed
aur wahshat bhi kuchh aisi ki hue gal safed
main ne pathrai hui aankh se ambar dekha
aan ki aan hua taron-bhara thaal safed
lash us shakhs ne mehnat se banaya mujh ko
surkh chadar ko mere sar se hata dal safed
aur phir nila hua sare ka sara manzar
main ne dekha tha kisi phul pe rumal safed
ajnabi banta hai kaise koi apna pal mein
kaise hota hai ghadi-bhar mein lahu lal safed
kale kawwe to bahut jhuti khabar dete hain
to kabutar koi paigham-rasa pal safed
hae in phulon ne kha li mere ghar ki raunaq
phul bheje gae tohfe mein to har sal safed

87344 viewsghazal • English