aisa lagta hai wo nadan samajhte hain mujhe
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
aisa lagta hai wo nadan samajhte hain mujhe
jo bhi tafrih ka saman samajhte hain mujhe
khairiyat bhi meri ma'lum nahin karte hain
is-qadar log pareshan samajhte hain mujhe
shahr se aao to aane ka sabab puchhte hain
ganw ke log bhi mehman samajhte hain mujhe
is liye meri khushamad nahin karta koi
sab manana bahut aasan samajhte hain mujhe
main hun fankar to fankar hi samjha jae
aap kyon hindu musalman samajhte hain mujhe
main ne har zakhm pe marham ki numaish ki hai
jaane kyon log namakdan samajhte hain mujhe
log kya kahte hain parwah nahin hai 'alam'
itna kafi hai ki insan samajhte hain mujhe

82104 viewsghazal • English