aisa nahin ki aap ka charcha nahin hua

By tariq-islam-kukraviMarch 1, 2024
aisa nahin ki aap ka charcha nahin hua
jaisa tha hukm aap ka waisa nahin hua
itna bacha tha sirf ki paspa nahin hua
kahne ko tere 'ishq mein kya kya nahin hua


la'nat ho is jahez pe kal is ke waste
beti thi ek gharib ki rishta nahin hua
le kar khuda ka nam kiya hai jo koi kaam
be-shak kabhi bhi koi khasara nahin hua


munsif ye tera faisla manzur hai magar
zalim ke haq mein ho gaya achchha nahin hua
tarikh padh ke dekh lo tum mere shahr ki
dange nahin hue kabhi balwa nahin hua


us ne bitai sath mein hain chhuttiyan abhi
do-chaar din hi bite hain hafta nahin hua
'tariq' har ek mod pe parkha hai aap ne
apna hi 'ain waqt par apna nahin hua


23154 viewsghazalEnglish