aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi sar mein wo intizar ka sauda nahin raha dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi hathon se intiqam liya irtiash ne daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi allah jaane maut kahan mar gai 'khumar' ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi