aisa nahin kisi se mohabbat nahin hamein

aisa nahin kisi se mohabbat nahin hamein
par kya karen ki shauq-e-wazahat nahin hamein

is tarah kho gae hain gham-e-zindagi mein hum
phulon ko dekhne ki bhi fursat nahin hamein

kitne makan hum ne to tamir kar liye
aur un ko ghar banane ki chahat nahin hamein

yun band ho gae hain dariche bhi soch ke
ab to kisi se koi shikayat nahin hamein

mahsus jo karen wahi kahte hain barmala
kuchh dil mein baat rakhne ki aadat nahin hamein

tera khayal dil mein samaya hai is tarah
kuchh aur sochne ki zarurat nahin hamein

gham aur khushi to 'naz' muqaddar ka khel hai
shikwa kisi se karne ki aadat nahin hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close