aise harjai se koi kis tarah yari kare

By basit-azeemNovember 15, 2021
aise harjai se koi kis tarah yari kare
bhul kar apnon ko jo ghairon ki gham-khwari kare
sab ke aage to bana phirta hai wo masum sa
jab hamare samne aae to makkari kare


wo clerki se taraqqi pa ke afsar ho gaya
harkaten lekin abhi tak wo bhi bazari kare
afsari ki dhak kya kam thi ki shair ho gaya
shair-e-sarkar hai kyon kaam sarkari kare


achchhe achchhe ki uchhal jati hai pagdi ishq mein
pas ho izzat ka jis ko jage ghar-dari kare
kis qadar majbur hai insan roti ke liye
rup dhaare nit-nae kaisi adakari kare


khud hi uksae shariat ke liye wo mard-e-haq
log jab mangen shariat to haden jari kare
ganw walon ka gila hai shahr walon se 'azim'
shahr wale aish udaen mehnaten haari kare


20155 viewsghazalEnglish