aise hote hain sar-e-sham numudar charagh

By aarib-hasimiApril 6, 2023
aise hote hain sar-e-sham numudar charagh
jaise dhalte hue suraj ke azadar charagh
ek hi aag mein jalte hain yahan hum donon
mera kirdar patanga tera kirdar charagh


karbala aur bhala kis ko yahan kahte hain
nok-e-neza pe hai sar aur sar-e-dar charagh
kab kahan kaise parakhna hai kisi ko hum ne
sare haalat se rahte hain khabar-dar charagh


raushni dhundhne sab log wahan jate hain
yani us par andhera hai to is par charagh
khud hi aandhi ki inayat pe unhen chhod diya
us pe phir ye bhi tamasha hai ki be-kar charagh


33448 viewsghazalEnglish