aish-e-rafta ne bahut khun rulaya hai mujhe phul ki sej ne kanton pe sulaya hai mujhe de ke ek shoala-e-guftar jagaya hai mujhe ahd-e-khwabida ne be-dard banaya hai mujhe zard-ru khar bhi hai aashiq-e-salma-e-bahaar shokh kaliyon ne ishaaron mein bataya hai mujhe tutta hi nahin rangini-e-khwahish ka tilism ism-e-azam ka amal bhi to sikhaya hai mujhe khun-e-mazlum akarat to nahin ja sakta zakhm-e-gul-rez ne phulon se sajaya hai mujhe shayad is daur ka shiw-ji hi samajh kar 'jawed' waqt ne zist ka sab zahr pilaya hai mujhe