aisi aziyyaton mein kisi ki basar na ho
By asim-qamarFebruary 25, 2024
aisi aziyyaton mein kisi ki basar na ho
lagta rahe ke sath koi hai magar na ho
us ne bade jatan se sajaya tha ye makan
main chahta hun kuchh bhi idhar se udhar na ho
jis tarh jhad raha tha palastar yahan wahan
shayad safar se laut ke jaen to ghar na ho
daftar ki din-guzariyan sote mein badbadao
aise mein ek roz ki chhutti bhi gar na ho
ai yar meri baat samajh main bhugat chuka
hona hai munhasir to kisi ek par na ho
ek raat bebasi ne sisak kar kaha khuda
ek sham-bhar ka sath bhale 'umr bhar na ho
is ke sabab sukhan hai sukhan ke sabab hayat
mar hi na jaen yar udasi agar na ho

76170 viewsghazal • English