aisi kahan utri hai koi sham meri jaan
By aasnath-kanwalApril 21, 2024
aisi kahan utri hai koi sham meri jaan
ashjar pe likha hai tera nam meri jaan
katte hain kahan ek se din raat ye mausam
hai zist bhi ek hasrat-e-nakaam meri jaan
kheton mein kahan ugte hain lafzon ke marasim
harfon ki tijarat mein gae nam meri jaan
mujh ko nahin pahunchi teri khushbu to karun kya
be-shak tu rahe lala-o-gulfam meri jaan
har gam ta'alluq ki salibon pe chadhe hain
chhutta hi nahin zat ka hangam meri jaan
mit jaenge sab ranj-o-alam qurb se tere
bheja hai tujhe pyar ka paigham meri jaan
palkon pe dhare khwabon ke lashe na uthana
hai aas yahi 'ishq ka anjam meri jaan

75634 viewsghazal • English