ajab andheri raat ka nazara tha
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
'ajab andheri raat ka nazara tha
zamin aankh thi falak sitara tha
wo kaun hath hoga jis ne pahli bar
charagh unche taq se utara tha
jo sirf khushkiyon ke rahne wale the
samundar un ka aakhiri sahaara tha
main paniyon ke pahle marhale talak
jahan pe wo tha tisra kinara tha
jali thin sirf chaar chhe 'imaraten
lapet mein agarche shahr sara tha
wahi makan jis ke baam par kabhi
ek aaine ka 'aks be-sahaara tha
wahi daricha jis ki chhanw mein kabhi
main apni sari kaenat haara tha
wahi jagah hai jis jagah tujhe kabhi
tere purane nam se pukara tha
magar kise bataen kaun manega
wo khwab raat aankh mein dobara tha
phir ek safar ke ba'd dusra safar
ye baat manne ka kis ko yara tha
phir ek 'umr bitne ke bawajud
wahin khada tha main wahi nazara tha
zamin aankh thi falak sitara tha
wo kaun hath hoga jis ne pahli bar
charagh unche taq se utara tha
jo sirf khushkiyon ke rahne wale the
samundar un ka aakhiri sahaara tha
main paniyon ke pahle marhale talak
jahan pe wo tha tisra kinara tha
jali thin sirf chaar chhe 'imaraten
lapet mein agarche shahr sara tha
wahi makan jis ke baam par kabhi
ek aaine ka 'aks be-sahaara tha
wahi daricha jis ki chhanw mein kabhi
main apni sari kaenat haara tha
wahi jagah hai jis jagah tujhe kabhi
tere purane nam se pukara tha
magar kise bataen kaun manega
wo khwab raat aankh mein dobara tha
phir ek safar ke ba'd dusra safar
ye baat manne ka kis ko yara tha
phir ek 'umr bitne ke bawajud
wahin khada tha main wahi nazara tha
88920 viewsghazal • English