ajab chanchal mila hai yar hamna

By alimullahOctober 24, 2020
ajab chanchal mila hai yar hamna
kiya ik-bargi sarshaar hamna
tadhan sun dekh kar kuchh yun samajhte
do-alam sahab-e-asrar hamna


gul-e-bustan hai goya khar-e-sahra
wasa jab husn ka gulzar hamna
zamin sun ta-falak sare hijabaat
hue hain matla-ul-anwar hamna


hua dil surkh-ru aaya nazar jab
shagufta chehra-e-gul-nar hamna
nawazish aur talattuf sun apas ke
diya khalwat mein apne bar hamna


'alimullah' huzuri mein sanam ke
nahin juz bandagi iqrar hamna
96668 viewsghazalEnglish