ajab dasht-e-hawas ka silsila hai

By prem-kumar-nazarNovember 12, 2020
ajab dasht-e-hawas ka silsila hai
badan aawaz ban kar gunjta hai
ki wo diwar unchi ho gai hai
ki mera qad hi chhota ho gaya hai


gale tak bhar gaya andha kuan bhi
meri aawaz par kam bolta hai
main apni jama-poshi par pashiman
wo apni be-libasi par fida hai


badan par chyuntiyan si rengti hain
ye kaisa khurdura bistar bichha hai
wo aankhen ho gain taqsim do par
jawab ab aur mushkil ho gaya hai


wo bahte paniyon par naqsh hoga
jo bhigi ret par likkha hua hai
padha tha jo kitab-e-zindagi se
wahi lauh-e-badan par likh diya hai


68623 viewsghazalEnglish