ajab fasurda-dili se hayat kati hai qarib baith ke mayyat ke raat kati hai kisi ki yaad ki zanjir tutti hi na thi ye qaid-e-umr ba-sad-mushkilat kati hai habab-dar hua khud-numa jahan qatra saza-e-dawa-e-irfan-e-zat kati hai uruj khak-nashinon ka bhi are tauba tanab-e-khema-e-gardun-sifat kati hai wo khar-zar-e-hayat aur ye aabla-pai lahu jala ke shab-e-sanehat kati hai hua hai yun bhi ki jhuk jhuk ke jad mohabbat ki rafiqon ne za-rah-e-iltifat kati hai kahin na 'barq' ki mahrumiyon ka zikr aae adu ne ishq-o-mohabbat ki baat kati hai