
ajab hai rang-e-chaman ja-ba-ja udasi hai mahak udasi hai baad-e-saba udasi hai nahin nahin ye bhala kis ne kah diya tum se mein thik-thak hun han bas zara udasi hai main mubtala kabhi hota nahin udasi mein main wo hun jis mein ki khud mubtala udasi hai tabib ne koi tafsil to batai nahin bahut jo puchha to itna kaha udasi hai gudaz qalb khushi se bhala kisi ko mila azim wasf hi insan ka udasi hai shadid dard ki ru hai rawan rag-e-jaan mein bala ka ranj hai be-intiha udasi hai firaq mein bhi udasi bade kamal ki thi pas-e-visal to is se siwa udasi hai tumhein mile jo khazane tumhein mubarak hon meri kamai to ye be-baha udasi hai chhupa rahi ho magar chhup nahin rahi meri jaan jhalak rahi hai jo zer-e-qaba udasi hai mujhe masail-e-kaun-o-makan se kya matlab mera to sab se bada masala udasi hai falak hai sar pe udasi ki tarah phaila hua zamin nahin hai mere zer-e-pa udasi hai ghazal ke bhes mein aai hai aaj mahram-e-dard sukhan ki odhe hue hai rida udasi hai ajib tarah ki haalat hai meri be-ahwal ajib tarah ki be majra udasi hai wo kaif-e-hijr mein ab ghaaliban sharik nahin kai dinon se bahut be-maza udasi hai wo kah rahe the ki shair ghazab ka hai 'irfan' har ek sher mein kya gham hai kya udasi hai
Please share if you liked this!!!