ajab kya hausle ai dil hamare tut jate hain itab-e-gardish-e-dauran se tare tut jate hain hui hain reza reza khud chattanen hum se takra ke magar hum dekh kar aansu tumhaare tut jate hain main chahun muskurana to chhalak jate hain ab aansu ki aksar sail-e-dariya se kinare tut jate hain nasihat ai meri beti hamesha dhyan mein rakhna sahaaron par na takiya ho sahaare tut jate hain 'qamar' is bazm-e-duniya se nibhaen apna rishta kya jo tuti sans to rishte hi sare tut jate hain