ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein badan jalta hai aur main bhigta rahta hun barish mein sadaen dub jati hain hawa ke shor mein aur main gali-kuchon mein tanha chikhta rahta hun barish mein dariche mein dar aate hain bahut se mehrban chehre main un par shokh jumle phenkta rahta hun barish mein diye jalte hain, bujhte hain, mere atraf mein aur main bas ek sae ke pichhe bhagta rahta hun barish mein pas-e-qaus-e-quzah ek surat-e-mahtab ki jhilmil main is jhilmil ko pahron dekhta rahta hun barish mein na sona mere bas mein hai, na shab bhar jagna 'khalid' main aankhen kholta aur michta rahta hun barish mein