ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro yahi mushkil meri hai bas main aasani mein hun yaro mujhe un jhil si aankhon mein yun bhi dubna hi hai na puchho barha kitne mein ab pani mein hun yaro na surat wasl ki koi na koi hijr ka gham hai main ab ke bar kuchh aisi hi virani mein hun yaro mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jina main zinda hun magar muddat se hairani mein hun yaro badan ka pairahan chhota mujhe padne laga itna main khul kar sans lene ko bhi uryani mein hun yaro khuda ne rakh diya mujh ko usi ke dil mein jaane kyun na bahon mein hun main jis ki na peshani mein hun yaro usi ek 'ashna' ko dhundhti har pal meri aankhen main rahta raat-din jis ki nigahbani mein hun yaro