ajab visal ki taqrib-e-ru-numai nahin

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
'ajab visal ki taqrib-e-ru-numai nahin
phir aisa hijr ki jis mein kahin judai nahin
libas-e-jism to maujud hai abhi tujh par
barahna hona meri jaan be-hayai nahin


wo ek ghazal thi magar ruh ki zamin mein thi
hamare khak-zada qafiyon mein aai nahin
ziyaada din nahin tikta kisi ki naukri mein
ye dil ka tarz-e-ta'alluq hai bewafai nahin


main intihaon se aaghaz kar raha hun ye 'ishq
so is safar mein qadam koi ibtidai nahin
badan to bhigta rahta hai barishon mein bahut
magar meri badaniyyat abhi nahai nahin


alag alag hi ada kijiye ye dogana
agar namaz-e-jama’at mein ham-nawai nahin
na bhinch yun ki chatakh jae shisha-e-aghosh
giraft dhili bhi rakhne mein kuchh burai nahin


nashist-e-khak se uttha nahin kabhi 'ehsas'
wo uth ke masdar-e-ruhaniyat se aai nahin
24784 viewsghazalEnglish