ajib chaal koi tir chal gae apne
By sajid-raheemFebruary 28, 2024
'ajib chaal koi tir chal gae apne
'adu ko us ke lage hain mujhe mere apne
koi samajhta nahin hai mere masail ko
bata rahe hain sabhi mujh ko tajrabe apne
tu kar zarur judai ko ‘aks-band magar
main pahle yaad to kar lun mukalme apne
main ta-hayat mohabbat ka ab nahin qail
har ek 'umr ke hote hain masale apne
koi mujhe na batae wo ab nahin mera
mujhe 'aziz bahut hain mughaalate apne
kise hai thodi mohabbat kise ziyaada hai
tumhein bhi yaad hain kya wo muqable apne
main khud sikhata hun auron ko gur mohabbat ke
tum apne pas rakho dost mashware apne
kabhi kabhi to ye lagta hai koi dariya hun
main jis tarah se badalta hun raste apne
wo jin ke dukh ka mudawa koi nahin hota
wo sab mein bantte rahte hain ‘arize apne
main pichhe chhod chuka hun 'adam ki had ko bhi
yahan se aage hain aasan marhale apne
jo de rahe hain mujhe aane wale kal ki khabar
zara bana ke dikhaen to zaiche apne

48161 viewsghazal • English