ajib dasht hai naqsh-e-pas-e-safar bhi nahin

By lutf-ur-rahmanSeptember 23, 2023
'ajib dasht hai naqsh-e-pas-e-safar bhi nahin
yahan se aage kahin koi rah-guzar bhi nahin
bajao tabl ki parcham lahu ka lahraun
khud apni zad pe hun aur surat-e-mafar bhi nahin


yahi ki karta rahun khud ko main musalsal radd
mere bachaw ki ab surat-e-digar bhi nahin
main is hujum se kat kar chala to aaun magar
qarib-o-dur koi rah mukhtasar bhi nahin


dayar-e-sang ko de do pata mere ghar ka
tamam shahr mein ab koi shishagar bhi nahin
68736 viewsghazalEnglish