ajib insan hai mere sare purane KHat ko jala raha hai
By adnan-akhtar-azmiMay 21, 2024
'ajib insan hai mere sare purane khat ko jala raha hai
wafa mohabbat fuzul shai hai ye baat sab ko bata raha hai
tazad us ka mera hai qaem andhera aur raushni ke ba'is
idhar diya main jala raha hun udhar diya wo bujha raha hai
tadap raha hun kisi ki khatir ye haalat-e-dil se sab 'ayan hai
kisi ki aankhen kisi ki palken kisi ka chehra sata raha hai
khayal-e-baada-kashi mein koi chala to aaya tha mai-kade mein
magar ye ab kya hua ki aakhir yahan bhi daman bacha raha hai
dar-asl mashhur wo hua hai to is mein mera bhi hai ta'aruf
meri hi likkhi tamam ghazlen musha’iron mein suna raha hai
wo mere dil ka sukun thahra wo mere dil ka qarar thahra
jo dur se dekhta hun us ko to lagta hai muskura raha hai

25549 viewsghazal • English