ajib ishq hua hai mujhe guman ke sath

By shahzad-baigOctober 9, 2023
ajib ishq hua hai mujhe guman ke sath
tamam shahr ko chhana hai is thakan ke sath
munafiqon ne mere hath bandh rakkhe hain
so mujh ko war bhi karna hai ab zaban ke sath


ab achchhe log bhi nayab hote jate hain
guzar-basar hai meri ab to apni jaan ke sath
main jin ke waste rasta banana chahta hun
shumar karte hain mujh ko bhi wo chatan ke sath


har ek dost saf-e-dushmanan mein shamil hai
jabhi to banti nahin meri is jahan ke sath
mukhalifin se dab kar nahin rahunga main
main sar utha ke chalunga ajib shan ke sath


meri tabahi ka 'shahzad' sochne wale
lagae baithe hain kheme mere makan ke sath
38141 viewsghazalEnglish