ajib rang the dil mein jo aansuon mein na the pas-e-mizha the wo chehre ki chilmanon mein na the jo ro chuke to yahi bolte dar-o-diwar hue khamosh ki jaise kabhi gharon mein na the hamari waza ne pabandiyan qubul na kin misal-e-nashsha the hum aur sagharon mein na the chale to apni hi raftar se ulajh ke gire hawa ki tarah muqayyad jo faslon mein na the chaman mein rah ke wo kante chubho liye hum ne ki itne rang to shayad yahan gulon mein na the fana ka khauf tha mahmez chalne walon ka ye hausle kabhi tute hue paron mein na the bada azim musawwir tha dubta suraj shafaq ke rang magar bujhte rauzanon mein na the